Monday, 3 November 2014

YAUME ASURA KI RAAT

Muharram Ki 10wi Tarikh Ki Raat Ko “Yaume Asura” Kaha Jata He,Barahi Fazilat Aur Barkat Vari Raat He Ye.Is Raat Ka Ek Khas Amal Pesh Karraha Hu,Jisse Aap Ki Koi Ek Jayej Hajat Agle Saal Ki Yaume Asura Ki Raat Se Pahle Puri Hogi.Aab Jayej Hajat Kiya He Umid He Ise Bayan Karne Ki Jarurat Nahi.

Aab Apko Amal Batata Hu.Yaume Asura Ki Raat Ko 1000 Martaba Bismillah Sarif Parhe,Iske Baad 2 Rakat Nafil Namaz Parhe,Aur Apni Hajat Ke Liye Rabbe Kayenat Ki Bargah Me Dua Kare.Is Amal Ko Apko 12 Dafa Daurana He,Yani 12 Dafa Isi Tarah 1000 Martaba Bismillah Sarif Aur 2 Rakat Nafil Namaz Parhke Dua Mangna Hoga.Kul 12000 Martaba Mismillah Sarif Aur 24 Rakat Namaz Mukammal Hoga.Bas Isi Ibadat Me Sari Raat Bitjayegi.Aur Apki Hajat Allah Ki Bargah Me Pohoch Jayegi,Aab Ye To Allah Ki Marji Wo Use 1 Din Me Puri Kare,Ya 1 Hafte Me Ya 1 Mah Me Ki 1 Sal Me.Lekin 1 Sal Ki Andar Jarur Hajat Puri Hogi.

Amal Ke Baad Aap Roza Rakhne Ki Niyat Se Sahri Karne Jayenge,Kyuki 10 Tarikh Ka Roza Bohut Faidemand He Aur Agar Sehri Ke Baad Waqt Raha To Fajr Ki Azan Tak Bina Ginti Kiye Durud Sarif Prhte Rahe,Ise Aap Ki Dua Ka Taseer Aur Bar Jayegi.